SHUKRIYA LYRICS – SADAK 2



Zindagi chal tera shukriya 
Shayad mile na tu kal ki subah 
Jo diya humne hans ke liya 
Ae zindagi tera chal shukriya

Har saans ka har khwab ka 
Ummeed ke sailaab ka 
Tujhse judi har baat ka shukriya

Teri dhoop ka barsaat ka 
Thaama jise uss hath ka 
Achhe bure halat ka shukriya

Shukriya, shukriya 
Shukriya, shukriya

Milna bichhadna aana jana 
Tay hai sab kuch pehle se 
Pyar bhare pal bandh ke rakh le 
Baaki sab kuch rehne de

Kuch nahi hath aayega yahaan 
Phir bhi ae zindagi tera shukriya 
Kuch nahi hath aayega yahaan 
Phir bhi ae zindagi tera shukriya

Mujhme sab hai sab kuch main hu 
Jeena marna baatein hai 
Mujhme dono chand aur suraj 
Mujhse din aur raatein hai

Paas hu main tere har jagah 
Mehsoos kar mujhe aur mushkura 
Paas hu main tere har jagah 
Mehsoos kar mujhe aur mushkura

Shukriya shukriya

Written by: 
Rashmi Virag







Post a Comment

0 Comments